Deendar Aur Duniyadar ki haqiqat.

Asslam -o-Alikum!

Kaisy Hain Ap Sab?

Umed hai AP Sab khriyat Sy hongy.

Aj Mai jis unwan per likh Rahi hun wo hai, deendar Aur Duniyadar ki haqiqat.

Deendar Aur Duniyadar ki haqiqat.

Deen Dar:-

Mai apko btati hun Deen daar ks ko khty hain?

Jo shaks Allah ki atat krta hai or Rasool Allah (S.A.W) Kay ahkam ki takmel kre,

Quran o sunat py mukamal amal kre,Namz qaim kre zakat ata kre naiki ka huakm dy burai sa ruky..

Deen dar shaks na srif duniya mai kamyabi hasil krta hai balky akhrat mai b kamyab hota hai.

Deen dar shaks nafal tasbihat mai mashgol rehta hai.usko mout k waqat asani hoti hai or janat mai jna waly amal karta hai.

Gair shari shadiyo mai shrikat nahi krta.Deen dar aurat sharai parda krti hai har na mehram sy.

Duniya Dar.:-

Duniya dur shaks ki tawaju duniya py rehti hai,

Usky  lya paisy ki bohat value hoti hai. Uska deen aman sab paisa hta hai,

wo har wqat paisy kamany k chakar mai lga rhta hai wo namaz b chor daita hai,

ya phr kbi parh li kbi na parhi.

Duniya dar achai or burai ko tameez bhol jata hai,

jhot, gibat, zina sharab، shirk bary bary gunah usko choty choty lgty hain,

kyun k usko, deen ka ilam nhi hta Quran sa wqfiayt nhi hti,

Quran pak daily khulta nhi.js ki wja sa, dil murda ho jta hai

Js trha ksi b poddy ko pani na dain tu wo ik arsy k baad murja jata hai ,

is trha insan ko deen ka pani na mily tu uska dil murja jata hai..

Duniyadar shaks apni duniya b khrab kr laita hai jo ba zahir usko nhi lgta kyun k wo duniya dari mai itna masrof hota hai.

Hadees mai hai.

Trajama.

“Duniya momin Kay lya Qaid khana kafir Kay liye jannat hai”

Duniyadar shaks ki akhrat b khrab ho jati hai,

kyun k wo farz chor daita hai,kai logo ko tu ahsas e gunah b nhi hota..

Ab mai apko btati hu k wo Deen dar shaks jo deen or duniya ko sath sath rkhta hai.

Duniyaa mai bht say aisy deendar log hain jo apny fariz b puray krty ibadat b kety hain,

Quran e pak b daily khulty rishty dari b nibaty,haqoq qul ibad ka khayal rkhty hain..

khaty peety karobar krty yai sb duniaya dari hi hai lekin asa shaks ko hum smjty k wo srif deen dar hai.

Deen dar aurat sharai oarda krti hai.aisi shadiyo py nhi jaty,

jhan shariyat k khilaf kam hun.Deendar Aurat apny shohar Kay lya Tayar hoti hai

or aksar logo ko yai khayal hai k Deen or duniya sath sath rkhni chahye,

wo is baat ko itna ghat istamal krty yani Namz Or Quran e pak prhny ko srif deen smjty hain..

or parda na krna, shadiyo py jana, is sb ko duniya dari mai laity hain hala k yai nhi sahi

jhan Allah ka hukam a jae whan duniya ko chor daina chahye.

Duniya ki Haqiqa.

Har muslaman ko y baat smjni chahyee k duniya arzi hai asli ghar akhraat ka hai.

Allah na frmaya:-

“Duniya ki zindagi sawae dhoky k saman k kuch b nhi”

Duniya ki zindagi ki Example.

yai hai duniya dhoky ka ghar hai machari ka per hai makri ka jala hai..

Agr ik Samandar mai ik soi daali jae tu soi ko bhr nikal k jo pani usk sath rah jae ga, wo duniya hai or pura samandar akhrat hai.

Duniya ki zindagi ki masal is bat sa b samjh skty hain jaisa 2.5 mint Duniya ki zindgi bki sb akhrat ki zindgi hai.

Yai b parhye.

Mout bar haq hai sbko anni hai..is lya Asa amal krny chahye js sa akhrat bhter ho jae..

Allah talah na frmaya..

“Har shaks ko mout ka zaiqa chakna hai..”

Mout k baad insan k amal ko dkh k jhanam or janat ka faisla Allah talah khud kren gy Qayamat wly din..

Ik din.marna hai akhir mout hai

Kr lay jo krna hai akhir mout hai..

 

Allah talah hum sbko ko deen ki samjh ata farmae..Ameen..

Rabty k lya.

Total
0
Shares
1 comment
Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Previous Post

چائے

Next Post

Music.

Related Posts