Asslam -o-Alikum!
Kaisay Hain Ap Sab?
Aj Mai Apky js topic per likh rhi hu wo hai Music.
Music.
Music ka Matlab.
Music ka mtlab hai gana. Gana bjana gana sunna, gana gunganana Sb haram hai.
Music Haram hai.
Islam mai music Sunnu ko mana kia gya hai.kyun k music ko Allah talah na haram qarar dia hai..
Allah Talah na surat Luqman mai Farmaya!
Tarjma.
“Aur baaz log asa bi hain jo in batoun ko khareedty hain jo Allah sy gafil krna wli hain ta k Allah ki yad sa,
be samjhy gom rah kre iski hansi urrae asa logo k lya zillat ka azab hai.”
Sahaba Ikram (R.A) na in ayat e mubaraka sy murad gany ko lya hai..
Music Kay nuksanat.
kyun k music suny sy insan ka dil murda ho jta hai wo Allah ko yad sa ghafil ho jata hai.
Hadees mai frmaya:-
“Jo log Gana sunty hain duniya mai unk kano mai ,
Qayamat k din pigla hu seesa daala jae ga (mefhom e hadees).
Music sunana or bajana shariyat mai haram hai.
Chalain mai Apko ik masal sy smjati hu k kyun Haram ha?
Example.
Allah talah na janat ko na pasandida cheezo sy dhanp liya hai yani janaat per jo ghalaf charhaya,
wo itna khubsurat nhi is lya ksi ka wahan jna ko dil nhi krta wo galaf kia hai??
Iska mtlab hai ankhoun ko hifazat na mehram sy kano ki hifaxat music sy,
gany sy dhool etc sa zuban ki hufazt jhoot gibaat sa in sb tansiono k pichy jaaant ha..
Hum aksar gari mai music lgaty hain bkly akser log music k bgir safar nhi krty,
kbi socha agr maar gy tu ks haal mai mout ae gi?
Ik aur hadees mai ha
Tarjma.
.”Ko kaan duniya mai music sunta hain wo qayamat k din Hazrat Muhammad (S.A.W)
or Allah talah ki Awaz sunny sy mehroom rhy ga”
Sawal?
Kuch log khty hain musiqi rooh ki gaza hai?
unsy mera ik sawal hai k jab Apka koi bht apna duniya sy chala jta hai tab music q nhi lgaty ?
hala k tab murdy sbsy zyada gaza ko zarort hoti hai??
Hadees mai hai!
Tarjama:
“Hazrat jaber R.A sy rawayat hai Rasool.Allah (S۔A.W) na frmaya.
“Gana dil mai nafaq ko is trha paida karta hai jaisy pani kheti ko ugata hai”
Chalin mai apko btati hu k,
Duniya ka gana 3:30 mint zyada nhi hota hai.
kyun k log isko sunty nhi bor ho jaty hain,
or Jannat ka phla nagma 70 Saal lamba hoga.
Jska saaz jaanat ki awaz ho gi ma shaa All
.
Ab mai apko batati jo shaks Duniya mai music nhi sunta usk lya akhrat mai kia inam hoga.
Usko janat ka music sunwaya jae jga
Sbsy phly janat ko Horain gana gain gae.
pht Allah talah jantiyo sy sawal kren gy issy acha sunwaoo?
phr Allah talah Hazrat Dawood(A.S) ko hukam dain gy phr Hazrat Dawood (A.S) gana gain gy janat ka..
phr Allah khen gy issy acha sunwao phr,
Hazrat Muhammad (S.A.W) parh k sunain gy phr Allah talah pohcain gy issy acha sunwa
Phr Allah talah.Janat k frishty Rizwan sy khin gy sb pardy hta do phr Allah talah apna deedar b krwain gy aur kalam b sunain gy subhan.Allah
Ab mai apko isi bary mai ik waqia btati hun.
Waqia.
ik baar Hazrat umer (R.A) aur ik sahaba khin ja rhy thy rasty mai Jazat Umer (R.A) lo bansri ki awaz,
sunai di apny apna kaano mao ungliya dy lin or ik side py chalna shuru kr dya.
thori dour ja k dsry Sahaba sy pohca awaz ana band ho gae?
Sahaba na frmaya G.Hazrat Umer (R۔A) na frmayaai ik marta Rasool Allah( S.AW) k sath,
khin ja rha tha maina Asa hi Nabi (S.A۔W) ko b krty huye dekha.(subhan Allah)
Aj kal logo ko music ki itni adat ho gae k hum isko Guna nhi ,
smjty blky har video pictures status k sath gana lga hta ha
Jab hum status lgaty gana wla ya jski back py music hu tu wo jo jo sunta hai un sab gunah b hmy milta hai,
kyun k jis burai ki wja hum bnan us burai ka guanh sb k sath hmy b milta hai
Allah hmy naiko ki toufeeq fy aur music k gunah bachae Amee.
kyun k music Haram hai or bht Bara Gunah hai.
Na srif music Hai balky music k Alat sb haram hain..
bhtt sy Log sofia kalam or Qawali ko deen ka hisaa smjty hain jo k gunah hai.
Naat sunaa b music k sath nahi jaiz…
Aj kal aam Riwaj Qawali Night ka hai jo k Srif Rasam hai isk deen sy koi Taluq nhi..
islam mai ksi qisam ka music nhi jaiz sb haram hai.
Allah Sy Dua hai Allah hmy music Kaisi burai Sy bachae Ameen.
Umed hai Apko Mera Artical pasand ae ga?Comment mai lzmi bateye ga
.Shukariya.
Music gunah hai bhttt log is gunah ko gunah nhi smjhty afsos..