Ramzan or rozy ki fazilat..

Ramzan

Asslam -o-Alikum!

How are you All?

Today My topic is Ramazan.

Ramzan.

Islam k Arkan 5 hain jspy Har muslim ko amal krna zrori hai js k bgir insan ka Deen mukamal nahi hai.

.1.kalma jsko parh k Insan daiar islam mai dakhil hta hai

2. Namazjo k 5 waqat ki farz hai.

3.Roza.

4.zakat.

5.Hajj.

Ye b pariyee

Jaisa k Ap sb ko maloon hai k babarkat mahina Ramzan mubarak a rhaa hai jski Allah talah na bhtt fazilat btai hai.

Quran e pak mai Allah talah na frmaya:

Surat tul baqra.

‘Ah iiman wloo ™tm per rozy farz kiye gy jaisa tmsa phli umatoun py farz thy ta k tum parhaiz gar bn sko”

Ramzan mubarak mai Allah talah jaaant k drwazy khul daity hain,

jhanum k darwazy band kr dya jaty hain or sheyatin qaid kr lye jaty hain.

Akser jab hum ramzan mai koi gunah kety tu yai baat dimag mai ati shetan tu band hai,

tu apko btati chalon k ik Nafs ka shetan b hta hai jo insan ko burai krna k mshwra daita hai wo ramzan mai bnd nhi hta..

Fazilat e Ramzan.

Ramzan mubarak ki ik fazilat yai b hai k k nafal k sawab farz k baraber kr dya jata hai or farz ka sawab 70 guna barha dya jata hai.

Roza kiya hai?

Rozy ko Arbi mai soum khty hain

“.Roza suba sadiq sy lay k qarob e aftab tak Allah ki raza k lya khany pina or Sb buraiyo sy parhaiz krna ka naam hai.”

Hmara Concept.

Lekin ab mai Apko btati hu hmara concept kia hai hum mai say aksar log tu roza nhi rkhty bgir ksi wjaa k,

unsy pohca jae hmsa bhookh bardash nhi hti y jawab milta ha,

.or jo log roza rkhty hain in mai sa kai log Roza ka haq adda nhi krty.

Unky bary mai  Hadees mai frmaya..

“Tm mai Sy jo log roza rkh buey kam Na chory tu Allah ko koi zrort nhi k wo khana pina chor dy”

Rozy ka hukam?

Roza ka Allah talah na is lya hukam dya hai k hum buraiyo sa ruk jain roza srif bhoky or piyasy rhna ka naam nhi hai.

Kyun k Allah talah ko hmara bhooky aur piyasy rhna sa koi farq nhi parhta jab tak hum burai na chorain,.jaisa kai log roza rkh k namz nhi prhty songs sunty hain.jhoot bolty hain..chori karty hain..

Ik aur baat btati chaloo Rozy mai srif brai chorna ka huakm nhi hai blky roza khul k b burai chorna ka hukam hai aksar log esha chor dty sri raat jgty mobil etc sb gunah hai..

Hadees mai rozy ki fazilat btai hai.

Tarjma.

“Adam ki aulad ka har amal dugna ho jata hai aik naiki das sy lay kar sat soo tak barh jati hai,

mgar Roza Allah talah frmaty.

“Roza mery lya khas hai iska ajar or badla mai khud atta kru ga”

is lya k mera bnda meri waja sa apni khawahisht aur khana chorta ha”

Issy zyada kia ajar hoga k Allah taah na iska ka ajar hmy khud ata krna ha Ma shaa Allah.

Ramazan mubarak mai Quran e pak parhny ka bht ajar o sawab hai,

aam.dino mai Quran e pak k ik ik harf py 10 10 naiki milti hain tu Ramzan mai jab 70 70,

ya issy zyada naiki miln gae tu sochyn iska sawab ktna zyada hai..

Ramazan Kay Ashray:

Ramzan mubarak k 3 ashry hoty hain ik ashra 10 din ka hota hai..

1st Ashra:Rehmat ka.

2nd Ashra:Mgfiarat ka.

3.jahanum sa Azadi ka.

3no ashro ki khas duain b hain jo hmy har ashry mai kasrat sy prhny chahye..

Ramzan Mubarak k ahri ashry mai 5 asi Raatn hoti hain,

Taaq Raatain:

Taaq raatain 21 23 25 27 or 29.

In raato mai sy ik Qaat asi hai jsko Layla tul Qadar khaa jta hai.

Allah na Surat Qadar (30 para) mai frmaya.

Trajma:

“Beshak humna nazil kia is mai layla tul Qadar ko.tmy kia pta layla tul qadar kia hai.

layla tul qadar ik Hazar mahino ki ibadat sy bhter hai.utarty hain is mai,

farishty or rooh (Hazar jibraeel A.S)Allah k huakm sy or Farjar k taloou hiny tak salamti hai.”

Laila Tul Qadar Fazilat:

Is Raat ki bhttt Fazilat hai is raat ki abad ka swab 1000 mahina ki ibadat sy bher hai.

Rozy daro k lya Janaat mai ik khass Drwaza hai,

js mai sy Qayamat k din srif Rozydar dakhil hongy,

uska  name Baab e Rayan hai.

Rozy dar k mouh ki khushboo Allah talah ko bhtt pasnad hai.

Hadees mai hai

Trajma.:

“Us zaat ki qasam!jis kay ahth mai meri jaan hairozydar k mouh ki badboo,

Allah talah k nazdeek mushk sy b zyada pasadida air pakiza hai”

Mai apko batati hu k kn kn cheezo sa Roza nhi totta.

1.Khushboo lgana sy

2Rozy mai miswak krny sy b roza Nahi toota.

3.Oil lgana sy Roza nhi toota.

4.Surma lgana sy roza nhi toota.

5.Bhool kar khana sy b roza nhi toota.

Roza Kay 2 ahum juzz hain,

Sehri or Aftari.

Dunu ka sawab bhtt hai..

Sehri sy Rozay ki ibtada hoti hai..

Hadees mai hai

“Sehri khaya kro sehri khany mai yakeenan barkat hai..”

Isi trha aftari krna ka b bhtt sawab hai.

Aftari krna mai hmesha jaldi krni chahye

Hadees mai hai..

“Log hmesha balai py rahn gy jab tak wo roza khulna mai jaldi krn gy.”

Roza dar ko aftari k wqt dua manga ki taked ki gae hai.

..Roza khajor sa aftar krna chahye agr khajor na maysar hu tu pani sa aftar kr lain.Roza dar ko Allah ka deedar naseb hoga”

Ramzan

Hadees mai hai.

Trjama:

“Rozadar k lya 2 khushi k moqa hain jin mai wo khush hota hai,

1.Jab wo aftar karta hai tu apny roza khulna sy khush hota hai.2.jab apny Rab sy mulaqat kre ga tu apny rozy sy khush hoga”

Ramzan ka pura mahina bais-e-barkat or rehmat hai,

Allah sa dua hai k Allah hmy ana wla Ramzan ko Apni raza ki mitabiq guzarny wla bna dy..

Ramzan ka haq ada krny ki toufeeq ata frmae.l,Ameen.

umed krti hu sb parhny wlo meri kawish pasnd ae gi..Cmments mai btaye ga Apko Meri post Kaisi lgi??

Shukriya

Rabty k lya.

Total
0
Shares
3 comments
Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Previous Post

Parda

Next Post

ذکر کی اہمیت

Related Posts