Sabar ka Makam

Asalam o Alikum.

Umed Karti hu AP sb khairyt sa hongy?

Aj ka hmara topic hai sabar.

Sabar ks ko khety hain??

Sabar ka matlab hai ruk jna or thehr jna or bardasht krny k hain.sabar ki bht fazilat aur ahmiyat hai.

Sabar ki fazilat.

Qurane pak Surat bakra mai Farmya:

Allah talah na farmaya٫

“Aeh iman walo sabar or namaz sy madad liya kru beshak,

Allah sabar krnu waloun k sath hai”

Allah talah na khin nahi frmaya k Allah Namaz parhny wlun k sath hai٫ Allah۔

Roza rkhny wlo k sath hai Allah Hajj krny wlo k sath hai kiya farmaya Allah sabar krny waloun k sath hai.

Sabar ki iqsam:-

Sabar ko teen iqsam hain

Sabar alal Atat:.

Sabar alal atat ka mtlab hai apny apko Allah talah ki atat per jamae rkhna,

jo mushkil ae us per sabar krna jaisy har hal main namaz parhna.isk 300 darjy hain.
.
Sabar alal maahsi:-

Sabar alal maahsi ka matlab hai gunaho waly kamo sy bachna,

ik balisht kay braber bi gunaho sy bachny k lya hijrat krna,

iss per jo musaqat ae ussy bardasht krna.isky 600 darjy hain.

jaisy ik kamry mai tv lga hu or na dkhna hu Allah ko raza ki khter dsry kamry mai chaly jna.

Sabar alal musaib:-

Sabar alal musaib ka matlab hai musibat a jae tangi a jae azmaish a jae tu seh jana’
jaisa ksi qeemti cheez ka khoo jna.ksi apny ka duniya sy cahalyj ana isky 900 darjy hain.
.
Sabar karny ka duniya mai b akhrat mai bi ajar hai.

Allah talah apny naik bando ko zror azmaty hain momno ko zror azmaty hain’

azmish dy k ta k pata pta chala k khin kon ktna khara hai ktna pkka hai apny iman mai..

Yai b prhiye

Quran e pak mai hai.

Tarajma..

“Aur hum tmko zror ba zror azmain gy khuf sy bhookh sy nafs sy jano sy maalo sy,

phalo ki kami say aur khushkabri suna dain sabar krny walo k sath hai”

Sabar wo hota hai jo gham kay shuru mai kiya jata hai aur ussi ka ajar hai.

Sabar gjam k shuru mai hta hai baad mai sabar a jata hai uska ajar nahi hai.q k wo tu Allah talah ki tarf say khudi a jata hai..

Allah na farmaya:-

Tarjama..

“Beshak Allah sabar karna wlo k sath hai”

Hadees ka mafhoom:-

Tarjama:

“Momin ka ik.qadam nafas per dsra janat per”

Surat Dahar mai frmaya:-

Tarjama:

“Aur sabar kren Apny Rab kay hukam per aur na khaa manin in mai say gunahgar aur na sukary ka.

Sabar gham aur khushi dunu per kia jata hai sabar ka bht zyafa ajar hai.Sabar ik mushkil kam hai hosly ka kam hai.

Ik jaga Allah na frmaya

Tarjma.

“Allah ki Rehmat say mayous na hu'”

Sabar ka bhttt ajar hai sabar ik aisi sawari hai jo indan ko girny nahi daiti na ksi kay qadmo mai na ksi ki nazro mai.

Sabar krny walo k sath Allah talah na apna sath ka wada kiya hai.Sabar sy janat milti hai.

Ik aur jga farmaya:-

Tarjama:

“Har mushkil k baad asani jai”

In sab ayat e mubarak say sabar ki fazilat Wazih hoti hai..

Tum mjsy pohcu gy ab sabar ka matlab,
Mai ny tu Sabar ko sabar sikhaya hai…

Sabar Allah ki bht bari naimat hai

.sabat insan ko janat mai ly kar jana ka zariya hai.

sabar krny wla akhir kar apny maqsad mai kamyab ho jata hai..

Umed krti hu apko yai artical zror pasand ae ga.Allah Hafiz

Rabty k lya.

Total
0
Shares
3 comments
Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Previous Post

Plants Benefits

Next Post

شب برات کی فضیلت

Related Posts